Dosto, Bank Of Baroda hamare desh ka ek popular bank hai. Ye bank banking ke saath-saath kai tarah ke financial services provide karta hai. In financial services and banking services ka benefits lene ke liye bahut sare logon ne is bank me apna bank account open karwaya hua hai. Inhi banking services me se ek product BOB ATM card yani BOB Debit card bhi hai. Iska istemal karke ham kai tarah ke transactions jaise- online transaction, ATM transaction, POS transaction… etc kahi se bhi aasaani se kar pate hai.
I hope aap bhi BOB ke customer hai. Kya aapke paas abhi koi bank of baroda ATM card nahi hai? Ye purana bank of baroda debit card expire ya block ho gaya hai? Is tarah ke condition me aapko apne liye BOB ATM apply ya BOB debit card apply karna padega. Iske baad ek new card aapko mil jayega.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Of Baroda Balance Check / Enquiry Sirf 1 Missed Call / SMS Se Kaise Kare?
- Bank Account Me Mobile Number Change Application Kaise Likhe? Hindi & English
Sayad aapko lag raha hoga ki bob ATM / debit card application karna muskil wala kam hai. Lekin ham is post me aapko iske aasaan tariko ke baare me batane ja rahe hai.
BOB ATM Apply Karne Ke Tarike
Bank of baroda apne customers ko ATM / debit card apply karne ke liye kai tarah ke options deta hai. Jaise-
- Branch se BOB ATM apply karna.
- Online Bank of baroda debit card apply karna.
Dono hi tarike aasaan hai. Lekin Online ATM card apply karne ke liye aapke paas bob net banking or bob mobile banking hona chahiye. Chuki sabhi ke paas net banking or mobile banking nahi hota hai isliye is post me ham branch wala process batane ja rahe hai.
Agar aap online atm apply wala process janna chahte hai to comment box me bataiye. iski jankari bhi ham aapko denge.
Bank Of Baroda BOB ATM Apply / Debit Card Application Kaise Kare?
Offline yani branch se bank of baroda atm apply karna bhi bahut aasaan hai. Iske liye aapko apne BOB branch me jana padega. Aap apne bank account ko lekar bank me chale jaye aur waha kaam kar rahe emploees ko bank of baroda atm card application form mangiye.
Ab aapko is atm card apply form ko achchhe se fill up karna padega. Is form ko bharne ka sahi tarika ham neeche batane ja rahe hai.
Bank Of Baroda ATM Card Application Form Fill-Up Process
Iske liye jo application form aata hai usko aap neeche ke image me dekh sakte hai.
- Is form ke sabse upar right side me apne bob branch ka name likh de.
- Ab aapko apna account details fill karna hai. Sabse pahle left side me bob bank account ka type “MY / Our Account type” wale boxes me likh de.
- Iske baad isi ke right side me “Account Number” ko samne wale boxes me apna apna account number pura likh de.
- Ab is form ke thoda sa neeche aa jaye aur apna name Surname, First Name, Middle Name ke format me likh de.
- Iske neeche me apna Date Of Birth “DDMMYYYY” ke format me likh de. Sath hi apna “Gender” select kar le.
- Iske neeche aapko apne BOB ATM card me jo bhi name print karwana hai usko likh de.
- Ab baari aati hai Address dene ki. Aap apna Residential Address and agar koi office Address hai to usko bhi fillup kar de.
- Iske baad 4 no wale option me aapko select karna hai ki, is card ko aap kaha mangwana chahte hai. Yani office me ya Residence me. Aap jaha mangwana chahte hai iske samne wale box me tick laga de.
- Ab aap thoda neeche aa jaiye aur apna Signature kar dijiye. Agar joint account hai to unka Signature bhi karwa lijiye.
- Iske neeche me wah date mention kar dijiye jab is form ko jama karenge. Aur agar aapko Branch code pata hai to usko bhi likh sakte hai nahi pata to blank chod de.
Bas aapka BOB ATM application form fill up complete ho gaya hai. Ab aap is bhare hue form ko branch me jama kar dijiye.
Aapke form ko submit karne ke 15-30 days ke andar aapka BOB Bank ATM / debit card bankar select kiye hue address me send kar diya jayega. Jab aapko card mil jaye to usko activate karke use karna start kar sakte hai.
BOB ATM Card Activate Kaise Karte Hai? Puri Jankari
Bank of Baroda mPassbook Register Karke Apna Passbook Mobile Me Kaise Dekhe?
Ab aapko bhi bob atm apply karna aasaan lagne laga hoga. to ab wait mat kijiye is information ka use kijiye.
Kya aapke paas BOB net banking ya mobile bankimg hai? aur online bob atm card apply karne ka brocess Janna chahte hai? Agar “Ha” to hame comment box me bataiye.
Mujhe aashaa hai ki is post se aapko labh hua hai. Isliye is post ko kam-se-kam 1 social media me SHARE Jarur kare. Is tarah se aap bahut sare logon ki help kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply